Thursday, December 3, 2009
bas nahi
ik khushnuma lamha aakar gujar gaya
kya hua kuch door sath chle,
kya hua chalkar bichad gaye.
socho ek khoobsurat mod na de sake
varna yaad aate umra bhar
par abhi kya
yaad to aate abhi bhi
aankhon ko nam kar jaate abhi bhi
sochta hu, itni puraani baat
kaise yaad aati hai
kyun yaad aati hai
par yaadon par to bas nahin apna.
sochta hu sapnon me bhi aa jaate ho
kaise aate ho
kyun aate ho
par sapno par to bas nahi apna
barson se nahin dekha aapko
par lagtaa hai har pal dekha hai tumko
par kya karoon
yaadon par to bas nahin apna
baat karta hoon to jubaan pe naam aapka
kyun aata hai
kaise aata hai
par kya karoon
baaton par ab bas nahin apna
jab jab bhulayaa aapko, aap hi aap najar aaye
kya karoon ab
kaise karoon ab
ab to apne aap par bhi bas nahin apna
jindgi jeene ko tarasti rahi
maut har din-
paas sarakti rahi,
log janm din manaate rahe,
jindgi jeene ko tarasti rahi.
dikhaave se lipi-puti,
dhokhe se rangi-puti,
paatal me-
aakaash khojti jindgi,
andhkaar ko
samajh prakaash
daudti rahi,
apne ko hi chhalti rahijo mila tha
use to bhoolti rahi
aur nit nayaa paane ko
tarasati rahi, bhaagti rahi
andhi daud me fansti rahi
maut paas sarakti rahi
jindgi jeene ko tarasti rahi
paas sarakti rahi,
log janm din manaate rahe,
jindgi jeene ko tarasti rahi.
dikhaave se lipi-puti,
dhokhe se rangi-puti,
paatal me-
aakaash khojti jindgi,
andhkaar ko
samajh prakaash
daudti rahi,
apne ko hi chhalti rahijo mila tha
use to bhoolti rahi
aur nit nayaa paane ko
tarasati rahi, bhaagti rahi
andhi daud me fansti rahi
maut paas sarakti rahi
jindgi jeene ko tarasti rahi
Thursday, November 26, 2009
GOAL
Goal is a dream with dead line, if your goal does not inspire you for action than you have not found the right goal.
Saturday, November 21, 2009
Friday, November 20, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)